hey guyz i don know u ppl r interested in ''shair o shairi'or not but i just started this new thread 4 those who love poetry
share ur favourite poetry wd us
i ll be more than happy if sm quality poetry is shared here
teri ankhon kay samander mein utar jaane day
tera mujrim hoon, mujhe doob kay mar jaane day
zakhm kitnay teri chahat say milay hain mujh ko
sochta hoon kahoon tujh say, magar jaane day
smarty_pockets
[valued contributor]
from Pakistan
joined 6 yrs ago
10
3 Dec 2008
wah wah.
yahan to baray baray shair bethay hain bhai
sath dil ke chalay dil ko nahi roka humne
jo na apna tha usay toot ke chaha humne
aik dhokay me kati umar hamari saari
kya bataein kisay khoya kisay paya humne
zikr-e-shab-e-faraaq se wehshat usey bhi thi
meri tarah kisi se muhabbat usey bhi thi
mujh ko bhi shauq tha naye chehroon ki deed ka
raasita badalnay ki aadat usey bhi thi
us raat dare tak raha wo mehw-e-guftagu
masroof men bhi kab tha faraghat usey bhi thi
sunaata tha wo bhi sab puraani kahaaniyan
taaza rafaaqaton ki zaroorat usey bhi thi
mujh se bichar k shehr men ghul mil gaya wo shakhs
halaan k shehr bher se adawat usey bhi thi
wo mujh se barh k zabt ka aadi tha ji gaya
warna her aik saans qayamat usey bhi thi
manzilain b uss ki thie,rasta b uss ka tha
aik mai akeli thi,kafla b uss ka tha,,
aaj akeli kyun ho? dil sawal karta hy
log to usk sath the,kia khuda b uss ka tha,,
sath sath chalne ki soch b uss ki thi
aur rasta badalne ka faisla b uss ka tha,,
humne apne hisse k sab kadam uthae the
darmian mai hayal wo faisla b uss ka tha,,
iss tarha bikharna to roshni ka tha lazim
zindagi se larne ka mashghala b uss ka tha,,
Raat Uss Na Poocha Tha
Tum Ko Kaisi Lagti Hai
Chandni December Ki !
Barishain December Ki!
Main Nay Kehna Chaha Tha
Saal-O-Maah K Baray Main
Guftagu K Kiya Maani ?
Chahay Koi Manzer Ho
Dasht Ho , Samander Ho
June Ho , December Ho
Dharkano Ka Her Naghma
Manzaro Pay Bhaari Hai
Saath Jab Tumhara Ho
Dil Ko Ek Sahara Ho
Aisa Lagta Hai Jaisay
Ek Nasha Sa Taari Hai
Lakin Uss Ki Qurbat Main
Kuch Nahi Kaha Main Nay
Takti Reh Gayee Mujh Ko
Chandni December Ki
Barishain December Ki...
Be-kar kyalao se lipat ker nahi deika
jo kuch b howa hum ne palat ker nahi deika
is dher k kut jain na binaii k rishtay
ankoo ne teri rah se hut ker nahi deika
kisi ki yaad main raatoon ko aksar jagna mamol tha apna
kabhi ger neend ajati tou hum yeh soch laite the
abhi to woh hamare wastey roya nahi hoga
abhi soya nahi ho ga
abhi hum bhi nahi rotey
abhi hum bhi nahi sotey
so phir hum jagtey the aur us ko yaad kertey the
akailey baith ker weeran dil abad kertey the
humare samne taroon k jhurmat main akaila chand hota tha
jo us k husn k agay bohat hi mand hota tha
falak per raks kertey unginat roshan sitaroon ko
jo hum tarteeb daitey the
to us ka naam banta tha
hum agle roz jab miltey to guzri raat ki her bekali ka zikr kertey the
her ek qissa sunatey the
kahan' kis waqt' kis taraan se dil dharka' batatey the
main jab kehta k ''jaana aaj to main raat ko ek pal nahi soya''
to woh khamosh rehti thi
per us ki neend main doobi hoi do jheel si aankhien
achanak bol uthti thi
main jab us ko batata tha
k''maine raat ko roshan sitaroon mein
tumhara naam dhekha hai''
to woh kehti
''tum jhot kehtey ho
sitare maine dheeke the
aur un roshan sitaroon mein tumhara naam likha tha''
ajab masoom larki thi
muje kehti thi
''lagta hai k ab apne sitare mil hi jayeen ge''
magar us ko khabar kiya thi
kinare mil nahi saktey
mohabat ki kahani mein
mohabat kerne waloon k
Sitare Nahi Miltay
yeh ratein or na yeh din hi achay lagtay hein
Tumein deiko tu sary manzer achay lagtay hein
Bohat door taq chalna mager phir b wahi rehna
Mujay tumhi se tum taq fasly achay lagtay hein
Kain kehta hai shahrat se tukhein deakhty hain
Janey man hum toh mohabbat se tumhein deakhty hain
Tum ko malom nahi tum ho muqadus kitny
Daekhty hain toh haqedat se tumhein deakhty hain
Deakh key tum ko kiasi aur ki yaad ati hai
Hum kisi aur hi nisbat se tumhein deakhty hain
Saath gheru ki nazar aao toh g khuttha hai
Kya kahein kaisi izyat se tumhein deakhty hain
Jhonkni parti hai yeh jaan azabo mei humein
Kaun kehta hai saholat se tumhein deakhty hian
Janey kya likhty ho kya sochty rehty ho wasi
Raat ko jab bhi kabhi chat se tumhein deakhty hain.
raftaa raftaa har police vaale ko shaayar kar diyaa
mahafil-e-sher-o-suKhan main bhej kar sarakaar ne
ek qaidi subah ko phaansi lagaa kar mar gayaa
raat bhar ghazalain sunaayin us ko thaanedaar ne
Fizaoo main rang bharta hai tumhara chand sa chehra…
Mujhe bechain karta hai tumhara chand sa chehra…
Usi ehsaas ka nasha liye phirta hoon duniya main akela…
Meri khatir sanwerta hai tumhara chand sa chehra…
Mujhe ye chandni raatein buhut bekaaif lagti hain…
Jab meri aankhoun main ubharta hai tumhara chand sa chehra…
Koi chehra meri aankhoun ko khera nahin ker sakta…
Mujhe madhosh karta hai tumhara chand sa chehra…
Meri basti se shayad iss liyay tum door rehte ho…
Gehan lagne se darta hai tumhara chand sa chehra…
Tawaja kis qadar dene laga hun aaj kal khud per…
Mere charoun taraf jab siyah raat aati hai…
To phir mujh mein uterta hai tumhara chand sa chehra…
Mere se yun hi TUM apni dosti rakhna…
Andhere main nikharta hai tumhara chand sa chehra…
Bohat din se
Mujhe' kuch an'kahe' alfaaz ne be'chain rakha hai
Mujhe' sone' nahiiN dete'
Mujhe' haNsne' nahiiN dete'
Mujhe' rone' nahiiN dete'
YuuN lagta hai
Ke jese' saaNs seene' maiN kaheiN thehri huii hai
YuuN lagta hai
Ke jese' taiz garmi maiN
Zara si dair ko baarish baras kar ruk gaii ho
Ghutan chaaroN taraf phaili huii hai
Bohat din se
Meri aankhoN maiN sapnoN ki
Koi Doli nahiiN utri
Bohat din se
KhayaaloN maiN,dabe' paaoN
Koi apna nahiiN aaya
Bohat din se
Mere' jazbaat
Jo meri shaairi ke maosamoN maiN rang bharte' the'
KaheiN khoye huye haiN
Mere' alfaaz bhi soye huye haiN
MaiN un'ko dhoondhne'
Is zindagi ke dasht maiN nikla to hooN lekin
Mujhe' ma'loom hai, jazbe'
Agar ik baar kho jaayeiN
To phir waapis nahiiN milte'
Mujhe' ma'loom hai phir bhi
Abhi ik aas baaqi hai
MaiN ab is aas ki uNgli pakaR kar chal raha hooN
Ba'zaahir shabnami thanDak mujhe' ghaire' huye hai
Magar maiN jall raha hooN
MaiN ab tak chall raha hooN
Tumein hum itna is liay chahtay hein
K kahin itzar mein hum mer hi na jein
Pass Aa ker tumein chuna chahtay hein
Asa na ho k yeh sansin hum se Juda ho jein
Tum poochti ho muj se meri udasi ka sabub
Kabhi luot janay walo ko kushi hotti hay
Tum poochti ho muj me kamoshi ki weja
Kabhi dhalti sham ko bolty suna hay
Tum poochti ho muj se mery totnay ka ghum
Kabhi kuud se sawaal yeh kiya hay
Meri Dosti...
Meri Zindagi..
Meri Khamoshi..
Meri Be Basi..
Mera ilm Bhi...
Mera Naam Bhi
Meri Suba k
Meri shaam bhi
K jo mil sakain mere Daam bhi
Wo Sabhi kuch tujay Ata karay
Mere Chara gar tu Yaqeen to kar
Mujhe Mangna to na aa saka
Mein nay maangi phir bhi yehi Dua
K Gawaahi day ga mera KHUDA
Mein nay Jab bhi us say Talab kia..
Nahi manga Kuch bhi
Bikhar rahi hai meri zaat usay kehna
Kabhi milay to yehi baat usay kehna
Wo sath tha to zamana tha hum safar mera
Magar ab koi nahi hai mere sath usay kehna
Usay kehna ke bin uske ye din nahi katta
Sisak sisak ke guzar jati hai meri raat Usay kehna
usay pukaroon ke khud he phonch jaoon uske pass
Nahi rahe wo halat usay kehna
Har jeet uske naam kar raha hoon main
Main manta hoon apni haar usay kehna
.+""+.+""+.
+ + Dil tu
"+. .+" kehta
"+.+" hay.
Zamane se chupa lon tuj ko,
Dil ke dharkan ki tarha dil mei basa lon tuj ko,
Koi ehsas judai ka na rehne pai , is tarha khud mei meri jaan chupa lon tuj ko,
Tu jo rothe mujh se mere dil k malik,sari dunya se khafa ho kar mana lon tujko,
Jab main daikhon tere chehre pe udasi ka sama , bas ye chahon kisi tarha hasa lon tujko
Kuch Aisa Mere Khuda
Moajza Ho Jaye
Meri Yaad Main Us Ki
Raat Subha Ho Jaye
Wo Chahy To Muj Ko
Wo Maangy To Muj Ko
Naam Le Jo Mera
Dua Ho Jaye
Wo Shaks Jo
Ek Khawab Sa Lagta HY
Meri Umar Bhar Ki
Wafa Ho Jaye
Haath Thaam K Chalon
Main Hamesha Us Ka
Haath Chorhon To
Mujh Se Khafa Ho Jaye
Dunya Main Koi
Us Jesa Na Ho
Wo Mukuraye TO
Dunya Fanna Ho Jaye
Yun To Bichar k
Sabhi Jeetey Hein
Lekin
Wo Zindagi Na Miley Jo
Us Se Juda Ho Jaye ...
hum jo kehtay thay zindagi kuch nahi tere bina
lakin yeh kya, k zindagi sab kuch hai tere bina
ab to raat b cut jaati hai din b guzar jata hai
sab waisa hi hai kuch b to nahi badla tere bina
tere janay say ju rim jim si thi ankhon mein ab
thehar giya hai ankhon ka woh samundar tere bina
waqt nay bahot kuch sikhla diya hai mujhe
ab to waqt b guzar jata hai tere bina
shahid muhabbat karnay kay adaab hi nhi thay atay
ab zindagi nay woh b sikhla diye hein terey bina
jo guzar giya hai waqt, so guzar giya meri jaan
jo reh giya hai so woh b guzar jaye ga tere bina
Mera bus chaley tu teri yadien kharid kon,
Apne jeeney k wastey teri batien kharid kon,
Kr sakey jo hr waqt deedar tera,
Sub kuch luta k wo Nigahein kharid lo
Mera bus chaley tu teri yadien kharid lon,
Apne jeeney k wastey teri batien kharid lon,
Kr sakey jo hr waqt deedar tera,
Sub kuch luta k wo Nigahein kharid lo
Tujhe roz dekhon qareeb se..
mere shouq b hain ajeeb se..
mujhe mangna hai tujhi ko bus..
Apne "Rub" or us k "Habeeb" se..
Meri ankh me b hai ajjzi..
mere khowab b hain ghareeb se..
Mere sab dukhon ki dawa ho tum..
miley kia sukoon phir Tabeeb se
hum hi thehray saza waar aur khata kuch bhi nahi
tum kya samajtay ho tumaray bhad hoa kuch bhi nahi
yaad jab aayi teri aayi aur raha kuch bhi nahi
dil nay bas aah bhari aur kaha kuch bhi nahi
waqt ki tarha yeh saansain b rawan hein ab tak
ik bas ashk thame aur ruka kuch bhi nahi
haath say haath chura kar gaya jab say tu
mein nay us waqt say in haathon say chuwa kuch bhi nahi
kaash tu muj say keh day achanak aa kar
k terey bhad mere jeewan mein bacha kuch bhi nahi
wo isliye k jub koi sooooooolonely n manoooooooo k jhooti id se asal me rani10 hi ho jis ka record acha na ho to log us se pungay nahi lete jameela.....lollll
socha tha iss bar us ko bhul jayain gay
deakh kar bhi us ko andeakha kar jayain gay
par jab samnay aaya chahra us ka
socha is baar deakh lain agli baar bhul jayain gay .....................
Safer mein aan mumkin hay mein kud ko chor du laykin
Duwain kernay walo ka sahara sath rehta hay
Mere Muola ne muj ko chahato ki saltanut di hay
Mager pehli muhabat ka kisara sath rehta hay
sorry guys its been posted couple time cuz i was trying to post and i had feeling that its not being posted os i was just clicking anyway i'll be carefull next time thanks
apane Khvaabo.n me.n tujhe jis ne bhii dekhaa hogaa
aa.Nkh khulate hii tujhe Dhuu.NDhane nikalaa hogaa
Zindagii sirf tere naam se mansuub rahe
Jaane kitane hii dimaaGo.n ne ye sochaa hogaa
Dost ham us ko hii paiGaam-e-karam samajhenge
Terii furqat kaa jo jalataa huaa lamhaa hogaa
Daaman-e-ziist me.n ab kuchh bhii nahii.n hai baaqii
Maut aa_ii to yaqiinan use dhokaa hogaa
Raushanii jis se utar aa_ii lahuu me.n mere
Ai masiihaa vo meraa zaKhm-e-tamannaa hogaa
Badan me.n aag sii cheharaa gulaab jaisaaa hai
Ke zahar-e-Gam kaa nashaa bhii sharaab jaisaa hai
Kahaa.N vo qurb ke ab to ye haal hai jaise
Tere firaaq kaa aalam bhii Khvaab jaisaa hai
Magar kabhii ko_ii dekhe ko_ii or jane to sahii
Dil aa_iinaa hai to cheharaa kitaab jaisaa hai
Vo saamane hai magar tishnagii nahii.n jaatii
Ye kyaa sitam hai ke dariyaa saraab jaisaa hai
Aye Khuda aaj Yeh Faisla Kar day
Usay Mera Ya Mujhe Uska Kar day
Bahot Dukh Saha hai Mein Nay
Koi Khushi Ab To Mera Muqaddar Kar Day
Bahot Mushkil Lagta hai Us Say Durr Rehna
Iss Judaai K Safar Ko Kisi Tarah Kam Karde
Door jitna Bhi Chala Jaye woh Muj Say
Tu Usay Mere Aur Kareeeb Se Kareeeb Kar day
Nahi Likha Agar Naseeb Mein Uska NAAM
To!!!!
Khatam kar Day yeh ZINDAGI aur Mujhe FANNA Kar day
Tu meri bani to theek werna duniya se chura loonga
apna chahay mann jale saari dunia ko jala doon ga
aag, paani, sahra ya samundder say
main tujhay dhound nikaloon ga zameen ke ander se
main cheer ke rakh doon ga her us nasheman ko
jo tujhay apni aaghosh main lenay ki tammana rakhta ho
Just like my dry smileWhich covers the weeping heartJust like my warm tearsYou always used to hate Life was always incomplete ************ ** Just like my broken promisesTo be in your arms for everJust like your fake versesThat we were born for each other Life was always incomplete ************ ** Just like your blotted imageWhich I try to cherish in my heartJust like our incomplete loveWhich was killed by the troops of fate Life was always incomplete ************ ** Like your presence I feel near meWhich rushes in & vanishes like a fragranceLike my soul, my heart & my weak breathWhich are dead or alive ; Nobody knows Life was always incomplete
Ye Maan Lete Hain Ke Pyar HuMein Nahi Mila
Ye Maan Lete Hain Ke HuMein HaMara Yaar Nahi Mila
Ye Maan Lete Hain Ke Duniya Ne Saath Nahi Diya
Ye Maan Lete Hain Ke Woh Bewafa Ho Gaya
Ye Maan Lete Hain Ke Woh Dil Torr Ke Chala Gaya
Ye Maan Lete Hain Ke HaMare Naseeb Mein Ye Sab Tha
Ye Maan Lete Hain Ke Taqdeer Mein Kuch Aur Likha Hai
Ye Maan Lete Hain Ke Woh KasMein Jhooti Thi
Lekin Yeh Mein Kaise Maan Loon Ke Jo Kal Tak Mere Saath Tha
Aaj Woh Kisi Aur Ke Saath Hai
Dhoor Se Dekhta Houn Usko
Woh Usse Pyar Kar Rahi Hai
Uske Saath Woh KasMein Le Rahi Hai
Jo Kuch Din Pehle Mujhse Ki
Usko Us Nazar Se Dekh Rahi Hai
Jis Tarah Woh Mujhe Dekhti Thi
Mera Dil Toot Gayi To Kya Hua
HuMne To Pyar Kiya Tha Bina Kisi Shart Ke
Afsos Hai Ke Yeh Dil Aaj Bi Usko Chahta Hai
Rehta Hai Is Aas Pe Ke Woh Aa Jaayegi
Jaanta Hai Ke Aisa Nahi Hoga
Lekin Nadaan Hai Na Yeh Dil
Yeh Kuch SaMajna Hi Nahi Chahta...
Yun To Guzar Raha Hai Har Ek Pal Khushi Ke Saath,
Phir Bhi Koi Kami Si Hai Kyon Zindagi Ke Saath,
Rishte Wafayein Dosti Sab Kuch To Paas Hai,
Kya Baat Hai Pata Nahi Dil Kyon Udaas Hai,
Har Lamha Hai Haseen Naye Dilkashi Ke Sath,
Phir Bhi Koi Kami Si Hai Kyon Zindagi Ke Sath,
Chahat Bhi Hai Sukoon Bhi Hai Dilbari Bhi Hai,
Aankhon Mein Khwab Bhi Hai Labon Par Hasi Bhi Hai,
Dil ko Nahi Hai Koi Shikayat Kisi ke Sath,
Phir Bhi Koi Kami Si Hai Kyon Zindagi Ke Sath,
Socha Tha Jaisa Waisa Hi Jeevan To Hai Magar,
Ab Aur Kis Talash Mein Bechain Hai Nazar,
Kudrat Ki To Meherbani Hai Dariyadili Ke Sath,
Phir Bhi Koi Kami Si Hai Kyon Zindagi Ke Sath...
kidhar gay ho sab loog.. hehheh
but kuch din k liye poetry poetry kar rahay thay sab...
aray VV pakistani aap nay tou yeh thread start kia tha..ab kya hua?? anyway kya ho sakta hai.. shayad loogo k pas ab time nahi hai..agar aisa hai tou yeh rest of Vidpk tou theek jaa rehi hai.. Iss thread ko kya ho gaya hai.....hahaahhaahahah
Mein Tittleon Ko Sula Doon Ga Zara Tum Sham Hone Do !!
Mein Jugnuon Ko Jaga Doon Ga Zara Tum Sham Hone Do !!
Meri Num Ankhon Ko Na Tum Dikho Haqarat Se !!
Mein Tum Ko Bhi Rula Doon Ga Zara Tum Sham Hone Do !!
Tumhen Qadi Banaya Hai Ujaari Ankhon Ki Hasrat Ka !!
Rehai Bhi Dila Doon Ga Zara Tum Sham Hone Do !!
Kahan Aghaz Hota Hai Kahan Anjam Hota Hai !!
Hunar Sare Sikha Doon Ga Zara Tum Sham Hone Do !!
Jo Tum Ne Mujh Se Pocha Hai Kahan Ho Gi Tumhari Sham !!
Jahan Ho Gi Sham Bata Doon Ga Zara Tum Sham Hone Do !!
If I could have just one wish,
I would wish to wake up everyday
to the sound of your breath on my neck,
the warmth of your lips on my cheek,
the touch of your fingers on my skin,
and the feel of your heart beating with mine…
Knowing that I could never find that feeling
with anyone other than you.
rat abhi dhalnay ko hai
sahma abhi jalnay ko hai
parwana abhi marnay ko hai
dharkanay bharnay ko hain
khuwahisan palnay ko hain
piyass abhi bhujnay ko hai
sans abhi ruknay ko hai
batin abhi zahir ko hai
anng abhi bhujnay ko hai
sahil abhi milnay ko hai
wahshatay ghatnay ko hain
jam abhi chalnay ko hai
mehfil abhi sajnay ko hai
manzilabhi milnay ko hai
rat abhi dhalnay ko hai
shama abhi janlnay ko hai (Umair Nom)
Jis sheher mien janan hum rehte hain us sheher k log deewane hain
ya had se ziada apne hain ya bilkul hi begane hain
hazar raah batlaate hain jab bhi rasta poochte hain
ya tu sab kuch jante hain ya bilkul hi unjane hain
muqadar k sitaaroon par
zamane k ishaaroon par
udaasi k kinaroon par
kabhi wiraan shehroon mien
kabhi sunsaan rastoon par
kabhi hairan aankhoon mien
kabhi bay jaan lamhoon mien
mujhay tum yaad aatay ho
Hey guys, just checked this page out 2day...
Luv it man.... U all have nice collection
Here is 1 of my fav poem.....
Suna Hai Yaad Krtay Ho
___________________
Suna Hai Yaad Krtay Ho
Key Jab Bhi Shaam Dhalti Hai
Tum Apni Raat Ka Aksar
Sukoon Barbaad Krtay Ho
Suna Hai Yad Krtay Ho
Jab Panchi Loat Ate Hain
Ghamo Ke Geet Gate Hain
Suno! Tum Lout Aao Na
Yehi Faryad Krte Ho
Suna Hai Yaad Krtay Ho
Sitaare Jab Falak Pe Jagmagate Hain
Woh Beetay Hoe Pal Khob Rulate Hain
Tum Us Dam Apni Aankhon Main
Mujhe Aabad Krtay Ho
Suna Hai Yaad Krtay Ho
Mujhe Tum Yaad Krtay Ho
tujay ishq ho yeh kuda karay
tum behi us ho juda kuda karay
tere honto pai na hanse rahai
tere anhku main behi nami rahai
tujay hijar gi wo gijar lagay
tu milan kai le a har pal dua karay
tere kuwaab bikray gali gail
tu krchi krchi chuna karay
tujay ishq per pher yakeen ho
ishq tasbiun main para karay
per main tu kahoon ishq tu fazool hai
aur tu...ishq ishq kara karay
does any one know that nazam
where pigs were treated bad in pakistan and decided they al would go to england so they moved and there they were killed and cooked etc so they migrated back?
aik ik harf ka andaz badal rakkha he
aaj se hum ne tera naam ghazal rakkha he
maine shahon ki muhabbat ka bharam tor diya
mere kamre me b ik taj mahal rakkha he
ya rab gham-e-hijran mai itna tu kia hota
jo hath jigher per hai vo dast-e- dua hota
ya gham na dia hota ya dil na dia hota
ik ye gham aur us per ye dil afat
wada wafa na kertai wada tu kia hota
ghairo sai kaha tm nai ghairo sai suna tm nai
kutch hum sai kaha hota kuch hum sai suna hota..
thx
“aa kisi sham kisi yaad ki dehleez pe aa
umer guzri tujhay dekhay huay behlaye huay
yaad hay?
Ham tujhay dil mantay thay
Apnay seenay main machalta hua ziddi bacha
Teray har naaz ko ungli se pakar kar aksar
Nit naye khuab k bazaar main le aatay thay
Teray har nakhray ki farmaish par
Aik jeevan ki tamannaon ki beenai se ham
Dekhtay thaktay na thay
Sochtay thay
Aik chota sa naya ghar
Naya mahol
Mohabbat ki fiza
Ham dono
Aur kisi baat pe takiyon se larai apni
Phir larai main kabhi hanstay huay ro parna
Aur kabhi rotay huay hans parna
Aur thak haar kar gir parnay ka masoom khushi bakhsh khayal
Yaad hay?
Ham tujhay sukh jantay thay
Raat hans deti thi besakhta rawish se teri
Dil teri doori se ro parta tha
Yaad hay?
Ham tujhay jaan kaha kartay thay
Teri khamoshi se mar jatay
Teri aawaz se jee uthtay thay
Tujh ko choo lenay se ek zindagi aa jati thi
Sharyano main
Thaam lenay se koi shehr sa bas jata tha veerano main
Yaad hay?
Ham tujhay milnay k liye
Waqt se pehlay pohanch jatay thay
Aur mulaqat k baad
Ham bohat der se ghar aatay to kehtay k hamain
Kuch na kaho ham bohat duur se ghar aaye hain
Is qadar duur se ghar aaye hain k shayad he koi aaya ho
Yaad hay?
Ham tujhay Khuda samajhtay thay magar kufr se dar jatay thay
Teray chin janay ka dar theek se rakhta tha
musalman hamain
aa kisi sham kisi yaad ki dehleez pe aa
teray bhoolay huay raston pe liya phirta hay
emaan hamain
aur kehta hay k pehchan hamain
yaad hay ?
ham tujhay emaan kaha kartay thay!!!!!!!!
yeh na poocho k kundan bane kis tarah
yeh kahani hay sadiyon pe pheli howi
hay mehek is mein apne lahoo ki rachi howi
hum ko halat ki
hum ko jazbat ki
hum ko tabqat ki
kholti aag mein dikhlaya gaya
khwahishon k bhanwar
aarzoo k safar
le kar hum ko chale
us chaman ki taraf
tha jahan faisla oonch neech ka
jin k raste khule
jin k rutbe bare
jo na haqdar the
woh nawaze gaye
dekhte hum rahe
dekhte reh gaye
na roya gaya
aansoon ki kami ho gayi thi bari
khushk ankhein liye
khushk sapne liye
hum phire darbadar
hum lutte har nagar
dukh jo had se barha
na sambhala gaya
tab hawale kia
apne RAB ko diya
rida us ki rehmat ki hum orh kar
pohonche us gaam per
k jahan ho gaya sabar se samna
tab qarar a gaya
ek nikhar a gaya
agahi ho gayi
moatabar ho gaye
yeh na poocho k kundan bane kis tarah!!!!
phir wohe aag dar aaye hai mairi galiyoun mein
phir mairey shehr mein barood ki boo phaili hai
phir say tou kouN hai, meiN kouN houN, aapas meiN sawal
phir wohi soch miyan-i-mann-o-tou phaili hai
mairi basti say parrey bhi mairey dushman houN gay
par yahaN kabb koee aghyaar ka lashkar uttra
aashna haath he aksar mairey janab labkay
mairey seenay meiN sadda apna he khanjar utra
phir wohi khauf ki deewar, tazabzub ki faza
phir hoeeN aam wohoee ahl-i-riya ki baateiN
naara-i-hubb-i-watan maal-i-tajarat ki tarhaaN
jinss-i-arzaaN ki tarhaaN deen-i-khuda ki baateiN
aaj aisa nahiN, aisa nahiN honay daina
aye mairey sokhta jaano, mairey piyarey logou
abb kay gar zalzalay aaye tou qiyamat ho ge
mairey dilgeer, mairey dard kay maarey logou
kissi ghasib, kissi zalim, kissi qatil kay leeaye
khod ko taqseem na karna, mairey saarey logou
ye zindagi b ajeeb hai
kabi chahaton men chupa lia
kabi nfraton men jala dia
kabi huns ky hum ko mana lia
kabi aansoo men baha dia
kabi roshni kabi raat hai
kabi dard hai kabi hai khushi
ye zindagi b ajeeb hai
kabi khushboo ban k bikhar jaye
kabi lamha bhar men guzar jaye
kabi jugnoo ban k chamak uthay
kabi mil k phir se bichar jaye
Agar Kabhi Meri Yaad Aaye
To Chaand Raaton Ki
Dilgeer Roshni Main
Kisi Sitaray Ko Dekh Laina
Agar Woh Nakhal Falak Say Urh Kar
Tumharay Kadmoon
Aagiray To Yeh Jaan Laina
Woh Istiaara Tha Meray Dil
Kaa
Agar Naa Aaye?.....
Magar Yeh Mumkin Hi Kis
Tarha Hai Kay Tum Kisi
Par Nigah Daloo
Too Us Ki Deewaar-E-Jaan
Naa Tootay
Woh Apni Hasti Naa Bhool Jaye!!
Agar kabhi Meri Yaad Aaye
Garaiz Karti Hui Hawaoon
Ki Lehroon Pay Haath Rakhna
Main Khushbuoon Main
Tumhain Miloon Gaa
Mujhay Gulaab Ki Patioon
Main Talaash Karna
Main Aous Qatra Kay Aainay Main Tumhain Miloon Gaa
Agar Sitaaroon Main, Aous
Khushbhuoon Main
Naa Paoo Mujh Koo
To Apnay Kadmoon Main
Dekh Laina
Main Gird Hoti Musafitoon
Main Tumhain Miloon Gaa
kahin Pay Roshan Chiraagh
Dekh Loo To Jaan Laina
Kay Har Patangay Kay
Saath Main Bhi Sulag Chuka Hoon
Tum Apnay Haatoon Say In
Patangoon Ki Khaak Darya Main Daal Daina
Main Khaak Ban Kar
Sumandar Main Safar Karoon Gaa
]Kisi Naa Dekhay Huay
Jazeeray Par Ruk Kay
Tumhain Sadain Doon Gaa
Sumandaroon Kay Safar
Pay Nikloo
Too Is Jazeeray Pay Kabhi Utarna
Wafa Main Ab Ye Hunar Ikhtiar Karna Hai,
Woh Sach Kahe Na Kahe Aitebar Karna Hai,
Yeh TujhKo Jagte Rehne Ka Shauk KabSe Hua,
Mujhe To Khair Tera Intezaar Karna hai
Tu Bewafa Mery Dil Ki Sada Main Shamil Hai
Nazar Se Dur Hai Lekin Dua Main Shamil Hai
Main Aitbaar Tumhara Karon Tu Kaise Karoon
Dagha , Fareb Tumhari Aada Main Shamil Hai
Har Raat Gham-e-Tanhai
Har Shaam Teri Yaad Aai
lakh Tujhey Bhulana Chaha
Us se Barh Kar Teri Yaad Aai
Tujh Se Koi Umeed Wabasta Nahi
Iss Dukh Sey Meri Aankh Bhar Aai
Logon Ney Pocha Ashkon Ka Sabab?
Bus Mujhy kehna Para "TANHAI"
Mery charager mery charager
mery dard ki tujhe kia khabar
Tu mery safar ka shareek tha
Nhi hamsafar
Nhi hamsafar
Wo jo hath bhar ka tha fasla
kai mosmoun mn badal gaya
Usy napty usy kat'ty
mera sara waqt nikal gaya
Nhi jis py koi nishan paa
Mery samny hai wo rahh guzar
mery charager mery charager
Ye jo zakhm zakhm sy khuwab hn
ye jo rat hai mery char suoo
Ye jo bebasi ka hai qafla
Sabhi raston mn ruka hoa
Nhi kuch bhi tujh se chupa hoa
Esy hukm dy ye kry safar
mery charager mery charager
mery dard ki tujhe kia khabar
tark-e-talluq pe roya na tu na mai
lekin ye kia kay chain se soya na tu na mai
wo humsafar tha magar ussay humnawai na thi
kay dhoop chaoon ka alam raha judai na thi
kuch is ada se aaj wo pehloo nasheen rahay
adawatain thi taghaful tha ranjshain thin magar
bicharnay walay mai sab kuch tha bewafai na thi
bichartay waqt un aankhon mai thi hamari ghazal
ghazal bhi wo jo ko kisi ko abhi sunai na thi
kajal, daro, kurkura surma saha na jai
jab nain mai pee basay duja kaun samai
kisay pukar raha tha wo doobta huwa din
saba to aai thi lekin koi duhaii na thi
na apna ranj na auron ka dukh na tera malal
shab e firaq kabhi hum nay yun ganwai na thi
muhabbaton ka safar is tarah bhi guzra tha
shikasta dil thay musafir shikasta pai na thi
kabhi ye haal k dono mai yak dili thi bohat
kabhi ye marhala jaisay k aashnai na thi
ajeeb hoti hai rah-e-sukhan bhi dekh naseer
wahan bhi aagai akhir jahan rasai na thi
Mohabbat phir mohabat hai?
Kabhi dil se nhi jaati,
Hazaron rang hain is k,
Ajab hi dhang hain is k,
Kabhi sehra, kabhi darya,
Kabhi jugnu, kabhi aansu,
Hazaron roop rakhti hai,
Badan jhulsa k jo rakh day,
Kabhi wo dhoop rakhti hai,
Kabhi ban ker ye ek jugnu,
Shab-e-gham k andheron mein,
Dilon ko aas deti hai,
Kabih manzil kinaarey per,
Piyasa maar deti hai,
Azziyat hi azziyat hai,
Magar ye bhi haqiqat hai,
Mohabat phir mohabat hai,
Kabhi dil se nhi jaati?.
Woh jo Shahr-e-dil tha ujad gaya...
Woh jo khwaab tha woh bikhar gaya...
Kabhi mausam.oun ki nazar lagi,
Kabhi wahmoun ne drra diya...
Kabhi manziloun ke saraab ne,
Kabhi zindaghi ki kitaab se,
Hamein jis ne chaha mitta diya...
bas isiiliye....
Woh jo ja raha tha door tak ...
Usse dekhte hi rahe magar...
Nahi di Saada...
ussae rokte bhi to kis liye ???
magar, vvpakistani, aap ki poem no. 64 mein kuch kafirana ishaar hain...aap bohot achi hadeesen post karti hain, isliye keh rahi hoon, warne mein kabhi na kehti, Allah hum sab ke iman ki hifazat farmay.
NameUndrConstruction
apka bht bht shukria ke meri ghalti aur kotahi ki nisandahi ker di,mujhe waqai bht afsos hua khud per ke me ne iski gehrai ko dekha nhi,shaid me ne isay kisi ghalat tashreeh me liya ho,baharaal me ALLAH se tauba kerti hoo sidq e dil se,ap bhi mere liye dua karein ke ALLH maaf farmaey mujhe.meri islaah kay liye bht mamnoon hoo aapki.
Teri rehmaton pe hai munhasir, meray har amal ki qubooliyat;
Na mujhay saleeqa-e-iltijaa, na mujhay shaoor-e-namaz hai
smarty_pockets
[valued contributor]
from Pakistan
joined 6 yrs ago
235
27 Aug 2012
Dil ke rishtey bhi ajeeb hote hain,
Durr rehkar bhi qareeb hote hain,
Jo log aap ko roz dekhte hain,
Woh log kitne khushnaseeb hote hain.
woH har dil me uttar jaate hai ,
hUm har dil se utar jaate hai.
are kya bhArosa karen unka jo
mohabbat karke mukar jaate hain.
pyar itna hi karo ke dil bahal jaye,
is qadar bhi na chaho ke dum nikal jaye....
tuu itna pyar kar jitna tuu seh sake,
bichadna bhi pade to zinda reh sake........
Ek diya bhi hai jo raat jalta hai,
Aur din main bujh jata hai,
Ek hum bhi hain jo tere ishq main,
din raat jaltey hain, tujhey yaad kartey hain
smarty_pockets
[valued contributor]
from Pakistan
joined 6 yrs ago
236
27 Aug 2012
Log Kehte Hain Maein Sharaabi Hoon
Tumne Bhi Shaayad Yehi Soch Liya Haan ...
Log Kehte Hain Maein Sharaabi Hoon
Kisipe Husn Ka Guroor Jawaani Ka Nasha
Kisike Dil Pe Mohabbat Ki Ravaani Ka Nasha
Kisiko Dekhke Saanson Se Ubharta Hai Nasha
Bina Piye Bhi Kahin Had Se Guzarta Hai Nasha
Nashe Mein Kaun Nahin Hai Mujhe Bataao Zara
Kise Hai Hosh Mere Saamne To Laao Zara
Nasha Hai Sab Pe Magar Rang Nashe Ka Hai Juda
Khili Khili Hui Subah Pe Hai Shabnam Ka Nasha
Hava Pe Khushboo Ka Badal Pe Hai Rimjhim Ka Nasha
Kahin Suroor Hai Khushiyon Ka Kahin Gham Ka Nasha
Nasha Sharaab Mein Hota To Nachti Botal
Maikade Jhoomte Paimaanon Mein Hoti Hulchul
Nasha Sharaab Mein Hota To Naachti Botal
Nashe Mein Kaun Nahin Hai Mujhe Bataao Zara
Log Kehte Hain Maein Sharaabi Hoon...
Thodi Aankhon Se Pila De Re Sajni Deewaani
Tujhe Maein Tujhe Maein
Tujhe Naulakha Manga Doonga Sajni Deewaani
from United States
joined 4 yrs ago